اردو हिंदी
Jab hai miTna hi to andaz hakimana sahi | Shaahi Shayari
jab hai miTna hi to andaz hakimana sahi

Ghazal

Jab hai miTna hi to andaz hakimana sahi

Raees Niyazi

;

jab hai miTna hi to andaz hakimana sahi
KHalwat-e-gham ke ewaz gosha-e-mai-KHana sahi

raunaq-e-baada-kashi jurat-e-rindana sahi
KHar hona hai to mai-KHana-ba-mai-KHana sahi

ishq ek qatre mein dariya ko samo deta hai
aql ko diwana samajhti hai to diwana sahi

mere dil mein bhi tajalli ke KHazine hain nihan
mah-o-KHurshid mein aks-e-ruKH-e-jaanana sahi

fursat-e-shauq ghanimat hai uTha bhi saghar
zindagi ek chhalakta hua paimana sahi

kya KHabar thi ki mai-e-nab mein itna hai surur
ab jo pi li hai to ek aur bhi paimana sahi

meri warafta-nigahi ki bhi kuchh qimat hai
bazm ki bazm ruKH-e-yar ka parwana sahi

fikr-o-ehsas mein poshida hain asrar-e-hayat
baal-o-par quwwat-e-parwaz se begana sahi

yahi kya kam hai ki barbaad-e-mohabbat hai 'rais'
tere altaf-o-inayat se begana sahi