jab faraaz-e-baam par wo jalwa-gar hota nahin
koi aalam ho nazar mein mo'atabar hota nahin
rafta rafta ho raha hai wo sitamgar mehrban
kaun kahta hai mohabbat mein asar hota nahin
be-wafai ne kiya hai qissa-e-gham ko tawil
ab kisi surat ye qissa muKHtasar hota nahin
kab nigahon mein nahin hota teri furqat ka gham
kaun sa aalam hai jab dard-e-jigar hota nahin
shiddat-e-gham mein kami hoti nahin rone se kuchh
lashkar-e-gham aansuon se muntashir hota nahin
ab bhi nazren hain faraaz tur par paiham magar
hae wo jalwa ki jo bar-e-digar hota nahin
rahbar ki sazishon ne wo diye hain gham 'nadim'
ab kisi surat yaqin-e-rahbar hota nahin

Ghazal
Jab faraaz-e-baam par wo jalwa-gar hota nahin
Raj Kumar Soori Nadeem