jab dida-e-bina ka hawala nahin milta
phir koi bhi duniya ka hawala nahin milta
wo aalam-e-baala to tere dil mein makin hai
jis aalam-e-baala ka hawala nahin milta
aala mein to adna ke hawale hi hawale
adna hi mein aala ka hawala nahin milta
jis jaan-e-tamanna ke hawale hai meri jaan
us jaan-e-tamanna ka hawala nahin milta
ye ruh sawalat hai ya koi munajat
kya milta hai bas kya ka hawala nahin milta
hum aaj hain aur aaj tu hai kal se bhi aage
achchha hai jo farda ka hawala nahin milta
paida hai to pinhan ke hawalon se bhara hai
pinhan se to paida ka hawala nahin milta
tu apne hawale ki hawa kha ke hi KHush rah
har aan hawala ka hawala nahin milta
behtar hai ki ab KHud se juda ho ke bhi dekhen
dariya mein to dariya ka hawala nahin milta
'mashkur' meri jaan chale aae ho tanha
tanha ko to tanha ka hawala nahin milta
Ghazal
Jab dida-e-bina ka hawala nahin milta
Mashkoor Husain Yaad