jab chala wo mujh ko bismil KHun mein ghaltan chhoD kar
kya hi pachhtata tha main qatil ka daman chhoD kar
main wo majnun hun jo niklun kunj-e-zindan chhoD kar
seb-e-jannat tak na khaun sang-e-tiflan chhoD kar
piwe mera hi lahu mani jo lab us shoKH ke
khinche to shangarf se KHun-e-shahidan chhoD kar
main hun wo gumnam jab daftar mein nam aaya mera
rah gaya bas munshi-e-qudart jagah wan chhoD kar
saya-e-sarw-e-chaman tujh bin Daraata hai mujhe
sanp sa pani mein ai sarw-KHiraman chhoD kar
ho gaya tifli hi se dil mein taraazu tir-e-ishq
bhage hain maktab se hum auraq-e-mizan chhoD kar
ahl-e-jauhar ko watan mein rahne deta gar falak
lal kyun is rang se aata badaKHshan chhoD kar
shauq hai us ko bhi tarz-e-nala-e-ushshaq se
dam-ba-dam chheDe hai munh se dud-e-qulyan chhoD kar
dil to lagte hi lage ga huryan-e-adn se
bagh-e-hasti se chala hun hae pariyan chhoD kar
ghar se bhi waqif nahin us ke ki jis ke waste
baiThe hain ghar-bar hum sab KHana-viran chhoD kar
wasl mein gar howe mujh ko ruyat-e-mah-e-rajab
ru-e-jaanan hi ko dekhun main to quran chhoD kar
in dinon garche dakan mein hai baDi qadr-e-suKHan
kaun jae 'zauq' par dilli ki galiyan chhoD kar
Ghazal
Jab chala wo mujhko bismil KHun mein ghaltan chhoD kar
Sheikh Ibrahim Zauq