jab bhi teri yaadon ka silsila sa chalta hai
ek charagh bujhta hai ek charagh jalta hai
shart-e-gham-gusari hai warna yun to saya bhi
dur dur rahta hai sath sath chalta hai
sochta hun aaKHir kyun raushni nahin hoti
dagh bhi ubharte hain chand bhi nikalta hai
kaise kaise hangame uTh ke rah gae dil mein
kuchh pata magar un ka aansuon se chalta hai
wo surud-e-kaif-agin soz-e-gham jise kahiye
zindagi ke naghmon mein Dhalte Dhalte Dhalta hai
Ghazal
Jab bhi teri yaadon ka silsila sa chalta hai
Rasa Chughtai