اردو हिंदी
Jab bhi tanhai ke ehsas se ghabraata hun | Shaahi Shayari
jab bhi tanhai ke ehsas se ghabraata hun

Ghazal

Jab bhi tanhai ke ehsas se ghabraata hun

Atiiqullah

;

jab bhi tanhai ke ehsas se ghabraata hun
main har ek chiz mein tahlil sa ho jata hun

main kisi jism pe phenka hua patthar to na tha
bar-ha apna lahu dekh ke sharmata hun

raat jo kuchh mujhe deti hai sahar se pahle
waqt ke gahre samundar mein utar aata hun

din ke hangame jila dete hain mujh ko warna
subh se pahle kai martaba mar jata hun

ek nashshe ki tarah TuT gaya hun KHud se
apne nazdik bhi mushkil se nazar aata hun