jab bhi sham-e-tarab jalai hai
aanch mahrumiyon ki aai hai
raste itne be-karan to na the
justuju kitni dur lai hai
zahmat-e-justuju se kya hoga
bu-e-gul kis ke hath aai hai
kitni ranginiyon mein teri yaad
kis qadar sadgi se aai hai
kah ke jaan-e-ghazal tujhe hum ne
apni kam-maigi chhupai hai
jab bhi 'jawed' chheD di hai ghazal
baat waraftagi tak aai hai
Ghazal
Jab bhi sham-e-tarab jalai hai
Fareed Javed