اردو हिंदी
Jab bhi mila wo TuT ke humse mila to hai | Shaahi Shayari
jab bhi mila wo TuT ke humse mila to hai

Ghazal

Jab bhi mila wo TuT ke humse mila to hai

Farooq Anjum

;

jab bhi mila wo TuT ke hum se mila to hai
zahir hai is KHulus mein kuchh muddaa to hai

us ko naya mizaj naya zehn chahiye
bachcha zaban chalata nahin sochta to hai

kya munsifi hai aap ki KHud dekh lijiye
insaf-e-shahr shahr-e-tamasha bana to hai

dhabbe lahu ke hum ko bata denge rasta
shayad kisi ke panw mein kanTa chubha to hai

manzil ki justuju mein akele nahin hain hum
hamrah to nahin hai tera naqsh-e-pa to hai

go amn ho gaya hai wahan qatl-o-KHun ke baad
darwaza sazishon ka abhi tak khula to hai

tahzib ke libaade mein sab be-libas hain
'anjum' tere badan pe darida qaba to hai