jab bhi KHalwat mein wo yaad aaega
waqt ka sail Thahar jaega
chand tum dekh rahe ho jis ko
ye bhi aansu sa Dhalak jaega
ek do moD hi muD kar insan
baam-e-gardun ki KHabar laega
main ne dekhe hain chaman be-parda
koi gul kya mere munh aaega
husn se dur hi rahna behtar
jo milega wahi pachhtaega
aur kuchh der sitaro Thahro
us ka wada hai zarur aaega
un ki zulfon ki mahak le 'danish'
is dhundalke ko kahan paega
Ghazal
Jab bhi KHalwat mein wo yaad aaega
Ehsan Danish