jab bhi ghar ki chhat par jaen naz dikhane aa jate hain
kaise kaise log hamare ji ko jalane aa jate hain
din bhar jo suraj ke Dar se galiyon mein chhup rahte hain
sham aate hi aankhon mein wo rang purane aa jate hain
jin logon ne un ki talab mein sahraon ki dhul uDai
ab ye hasin un ki qabron par phul chaDhane aa jate hain
kaun sa wo jadu hai jis se gham ki andheri sard gupha mein
lakh nisai sans dilon ke rog miTane aa jate hain
ze ke reshmi rumalon ko kis kis ki nazron se chhupaen
kaise hain wo log jinhen ye raaz chhupane aa jate hain
hum bhi 'munir' ab duniya-dari kar ke waqt guzarenge
hote hote jine ke bhi lakh bahane aa jate hain

Ghazal
Jab bhi ghar ki chhat par jaen naz dikhane aa jate hain
Muneer Niyazi