jab aasman zamin par utarne lagta hai
to zindagi ka tasawwur bikharne lagta hai
kured leta hun tere KHayal se akasr
teri wafa ka agar zaKHm bharne lagta hai
jise fareb mila ho wafaon ke badle
wo shaKHs apne hi sae se Darne lagta hai
main jab simaTta hun haalat ki panahon mein
mera wujud-e-shikasta bikharne lagta hai
zamana kyun na meri rah ki rukawaT ho
mera junun bhi to had se guzarne lagta hai
uDan bharta hun jab bhi KHalaon se aage
na jaane kaun mere par katarne lagta hai
qadam baDhata hun 'salim' hayat ki jaanib
to mere panw mein rasta Thaharne lagta hai
Ghazal
Jab aasman zamin par utarne lagta hai
Salim Shuja Ansari