jab aasman ne nanhe parindon ko par diye
zalim hawa ne tir bhi ham-rah kar diye
is gulsitan se faKHta parwaz kar gai
mausam ne shaKH-sar bhi kanTon se bhar diye
har shaKHs ahd-e-jabr mein harf-e-dua hua
honTon ko hadsat ne kya kya hunar diye
apni nigah ke aaine suraj ko saunp kar
hum ne bhi kaenat ko aaina-gar diye
phir aasman ke auj se shabnam ata hui
phir meri pastiyon ne mujhe bahr-o-bar diye

Ghazal
Jab aasman ne nanhe parindon ko par diye
Musarrat Hashmi