jata hai mere ghar se dil-dar KHuda-hafiz
hai zindagi ab mushkil be-yar KHuda-hafiz
wo mast-e-sharab-e-husn ghusse se nihayat hi
khinche hoe aata hai talwar KHuda-hafiz
mujh pas tabib aa ke kahne laga ai yar
be-tarah ka hai is ko aazar KHuda-hafiz
hasil nahin darman ka wo hai ye maraz jas se
jaan-bar na hua koi bimar KHuda-hafiz
be-tarah kuchh idhar ko wo mast-e-sharab-e-husn
khinche hue aata hai talwar KHuda-hafiz
ai shaiKH tu us but ke kuche mein to jata hai
ho jae na ye subha zunnar KHuda-hafiz
Darta hun ki dil har dam malta hai na ho jawe
us chashm-e-sitam-gar ka bimar KHuda-hafiz
yun mehr se farmaya us mah ne waqt-e-subh
hum jaane hain ab tera 'bedar' KHuda-hafiz
Ghazal
Jata hai mere ghar se dil-dar KHuda-hafiz
Meer Mohammadi Bedar