jaanen mushtaqon ki lab par aaiyan
balbe zalim teri be-parwaiyan
subh hone aai raat aaKHir hui
bas kahan tak shoKHiyan machlaiyan
bis bhari nagin hai kya hi zulf-e-yar
jis ko dekh afi ne lahren khaiyan
jeb to kya naseha daman ki bhi
dhajjiyan kar ishq ne dikhlaiyan
sada-rui hi ghazab thi tis upar
karte ho har lahza husn-araiyan
us saman-andam gul-ruKHsar ki
jaan-faza nikhat chura kar laiyan
sun ke ye baad-e-saba ne bagh mein
gaThriyan ghunchon ki phir khulwaiyan
leTa chhati par meri leta tha wo
aah kis kis aan se angDaiyan
is samay ko dekh kar sau rashk se
mauj ne dariya pe lahren khaiyan
dekhte hi us ko shaida ho gaya
kya huin 'bedar' wo danaiyan
Ghazal
Jaanen mushtaqon ki lab par aaiyan
Meer Mohammadi Bedar