jaane kyun bhai ka bhai khul ke dushman ho gaya
ghar mein diwaren uThana ab to fashion ho gaya
ek muflis ko saDak par galiyan dene ke baad
wo samajhta hai hamara nam raushan ho gaya
aaj to aae hamein kis ki qayaadat par yaqin
kal jo apna rahnuma tha aaj rahzan ho gaya
dekh kar bachchon ko bhi ab yaad aata hi nahin
mahw kuchh aisa hamare dil se bachpan ho gaya
chhate chhate chha gai fasl-e-bahaaran par KHizan
dekhte hi dekhte pamal gulshan ho gaya
main ne to haq baat hi munh se nikali thi 'wasim'
jaane kyun sara zamana mera dushman ho gaya

Ghazal
Jaane kyun bhai ka bhai khul ke dushman ho gaya
Waseem Minai