اردو हिंदी
Jaane kya soch ke ghar tak pahuncha | Shaahi Shayari
jaane kya soch ke ghar tak pahuncha

Ghazal

Jaane kya soch ke ghar tak pahuncha

Baqa Baluch

;

jaane kya soch ke ghar tak pahuncha
main ki mearaj-e-hunar tak pahuncha

apne kashkol mein hasrat le kar
ek gadagar tere dar tak pahuncha

dard uTTha tha mere pahlu mein
aaKHir-e-kar jigar tak pahuncha

ek tabahi mere dil par utri
ek tamasha mere ghar tak pahuncha

ek dua mere labon tak aai
ek asar us ki nazar tak pahuncha

jitni aahen mere dil se niklen
ya KHuda un ko asar tak pahuncha

shaKH se TuTa hua patta hun
tu mujhe mere shajar tak pahuncha

hum sitaron ki KHabar laenge
ye KHabar ahl-e-KHabar tak pahuncha