jaan-sapari ke bhi arman zindagi ki aas bhi
hifz-e-namus-e-alam bhi nish-e-gham ka pas bhi
KHak dar-bar hi sahi main KHak bhi wo KHak hai
jis mein mere zaKHm-e-dil ki bu bhi hai aur bas bhi
kitne daur-e-charKH un aankhon ne dekhe kuchh na puchh
miT chuka hai waqt ki raftar ka ehsas bhi
hae wo ek nashtar-agin neshtar-afroz yaad
jis ke aage hech apni burrish-e-infas bhi
hum na the kuchh KHud hi us saude pe raazi warna yun
ras aane ko ye duniya aa hi jati ras bhi
KHud ko ai dil yas-e-kaamil ke hawale yun na kar
jhankti hai zehn ke ghurfe se koi aas bhi
kaun us wadi se uchhla ta-sar-e-arsh-e-barin
gum hain jis wadi mein 'aKHtar' KHizr bhi ilyas bhi
Ghazal
Jaan-sapari ke bhi arman zindagi ki aas bhi
Akhtar Ansari