اردو हिंदी
Jaan mein jaan tabhi qais ke bas aati hai | Shaahi Shayari
jaan mein jaan tabhi qais ke bas aati hai

Ghazal

Jaan mein jaan tabhi qais ke bas aati hai

Meer Hasan

;

jaan mein jaan tabhi qais ke bas aati hai
naqa-e-laila ki jab bang-e-jaras aati hai

sath dekhun hun kisi ke jo kisi dilbar ko
main bhi ji rakhta hun mujh ko bhi hawas aati hai

qais o farhad ke rone ki jab aa jati hai lahar
koh-o-sahra pe ghaTa ja ke baras aati hai

zindagi hai to KHizan ke bhi guzar jaenge din
fasl-e-gul jiton ko phir agle baras aati hai

jab qafas mein the to thi yaad-e-chaman hum ko 'hasan'
ab chaman mein hain to phir yaad-e-qafas aati hai