jaan kar kahta hai hum se apne jaane ki KHabar
ji Duba deti hai mera ye bahane ki KHabar
is chaman mein kaun hai dil-soz apna tujh siwa
rakhiyo Tuk ai barq mere aashiyane ki KHabar
puchhta nin apne kuche mein tu mera haal hae
le thi laila dasht mein apne diwane ki KHabar
hain qafas mein jab se hum us sang-dil sayyaad ke
ashk hi leta hai mera aab-o-dane ki KHabar
hum na jaanen kis taraf kaba hai aur kidhar hai dair
ek rahti hai yahi us dar pe jaane ki KHabar
har gul-e-dagh-e-junun par aur hai kuchh aab-o-rang
pher hai gulshan mein goya gul ke aane ki KHabar
aaj sine mein mere dil hai nipaT hi be-qarar
de hai 'hasrat' ghair ke ghar us ke jaane ki KHabar
Ghazal
Jaan kar kahta hai humse apne jaane ki KHabar
Hasrat Azimabadi