jaan jata hai ab to aa jaani
hijr ki aag par chhiDak pani
daman o aastin kun ro ro kar
KHun-e-dil sin kiya hun afshani
zulf teri sin dad paunga
hat aai hai ab pareshani
lala-ru phir bahaar aai hai
kyun na hue phul ki farawani
ganj-e-maKHfi sin aashna hai 'siraj'
jab sin hui hai nigah rahmani
Ghazal
Jaan jata hai ab to aa jaani
Siraj Aurangabadi

