jaan-e-fikr-o-fan ab bhi ishq ki kahani hai 
lafz hain nae lekin dastan purani hai 
zindagi ke afsane ek se sahi lekin 
jo meri kahani hai wo meri kahani hai 
dekhta hai rah rah kar munh nigah walon ka 
misra-e-gharib apna naqsha-e-be-zabani hai 
iltifat farmaen ya taghaful apnaen 
muddaa hasinon ka sirf jaan-sitani hai 
pur-KHata sahi 'jafar' be-wafa sahi 'jafar' 
KHair tum sahi haq par baat kya baDhani hai
        Ghazal
Jaan-e-fikr-o-fan ab bhi ishq ki kahani hai
Jafar Baluch

