jaan dete hain magar izhaar hum karte nahin
yani tashhir-e-salib-o-dar hum karte nahin
apne dushman ko bhi lalkarenge aa kar samne
pusht se chunki kisi par war hum karte nahin
ho raha hai har taraf turfa tamasha roz-o-shab
umr ko ab bar-sar-e-paikar hum karte nahin
jab tumhaare shahr ka har zarra zarra hai aziz
kaun kahta hai ki tum se pyar hum karte nahin
hai zamana kuchh zamane ki rawish kuchh aur hai
KHud ko ruswa yun sar-e-bazar hum karte nahin
nam ki apne tamanna ya sile ki aarzu
log karte hain magar 'ansar' hum karte nahin

Ghazal
Jaan dete hain magar izhaar hum karte nahin
Qazi Ansar