اردو हिंदी
Jaan bhi ba-jaan hai hijr mein aur dil figar bhi | Shaahi Shayari
jaan bhi ba-jaan hai hijr mein aur dil figar bhi

Ghazal

Jaan bhi ba-jaan hai hijr mein aur dil figar bhi

Nazeer Akbarabadi

;

jaan bhi ba-jaan hai hijr mein aur dil figar bhi
tar hai mizha bhi ashk se jeb bhi aur kanar bhi

turfa fusun-sarisht hai chashm-e-karishma-sanj-e-yar
leti hai ek nigah mein sabr bhi aur qarar bhi

kuche mein us ke baiThna husn ko us ke dekhna
hum to isi ko samjhe hain bagh bhi aur bahaar bhi

dekhiye kya ho be-tarah dil ki lage hain ghat mein
ghamza-e-pur-fareb bhi ishwa-e-sehr-kar bhi

zulf ko bhi hai dam-ba-dam azm-e-kamand-e-afgani
dam liye hai mustaid turra-e-tabdar bhi

baiThe buton ki bazm mein jin ki hai qadr jab wo log
apne fareb-o-fan se wan tha ye KHarab-o-KHwar bhi

ginne lage wo apne jab chahne walon ko 'nazir'
uTh ke yakayak us ghaDi hum ne kaha hain yar bhi