jaan-bazon ke lab par bhi ab aish ka nam aaya
jis hath mein tesha tha us hath mein jam aaya
ek taza taghayyur hai tahzib ki duniya mein
ya husn-e-haqiqi ko andaz-e-KHiram aaya
rahat ka tasawwur hi baqi na raha shayad
honTon pe takalluf se aaram ka nam aaya
kuchh soch ke ek rah-e-pur-KHar se guzra tha
kanTe bhi na ras aae daman bhi na kaam aaya
saqi ye harifon ko pahchan ke dena kya
jab bazm se hum nikle tab daur mein jam aaya
is tira-nasibi mein kirnon ka sahaara kya
suraj ki taraf dekha wo bhi lab-e-baam aaya
ye raaz-o-niyaz-e-gham kuchh wo bhi samajhte hain
jab choT paDi dil par palkon ko salam aaya
gham aur KHushi donon har roz ke mehman hain
ye subh-ba-subh aai wo sham-ba-sham aaya
phenke hue shishon se dil kitne banae hain
jab jam koi TuTa diwanon ke kaam aaya
kanon mein kuchh aati hai aawaz phaDakne ki
phir koi naya tair shayad tah-e-dam aaya
ashaar-e-'nushur' aksar un ki bhi zaban par hain
chup rah na saka koi jab waqt-e-kalam aaya

Ghazal
Jaan-bazon ke lab par bhi ab aish ka nam aaya
Nushur Wahidi