jaan aankhon mein rahi ji se guzarne na diya
achchhi didar ki hasrat thi ki marne na diya
kya qayamat hai sitamgar bhari mahfil mein
dil chura kar teri duzdida nazar ne na diya
muddaton kashmakash-e-yas-o-tamanna mein rahe
gham ne jine na diya shauq ne marne na diya
naKHuda ne mujhe daldal mein phansae rakkha
Dub marne na diya par utarne na diya
koi to baat hai jo ghair ke aage us ne
shikwa kaisa ki mujhe shukr bhi karne na diya
KHak aaram ki KHwahish ho watan se bahar
jab hamein chain 'tapish' apne hi ghar ne na diya

Ghazal
Jaan aankhon mein rahi ji se guzarne na diya
Shaikh Abdul Lateef Tapish