اردو हिंदी
Jam Khaali jahan nazar aaya | Shaahi Shayari
jam Khaali jahan nazar aaya

Ghazal

Jam Khaali jahan nazar aaya

Aziz Lakhnavi

;

jam KHali jahan nazar aaya
meri aankhon mein KHun utar aaya

wo bahut kam kisi ne dekha hai
mujh ko jo kuchh yahan nazar aaya

jhuk gae aasman sajde mein
kaun ye apne baam par aaya

kanp uTha charKH hil gai duniya
wo jahan apni baat par aaya

us ne puchha mizaj kaisa hai
dil jo umDa hua tha bhar aaya

jab kabhi us ne ki nazar mujh par
ek chhaala naya ubhar aaya

teri jaanib se hoshiyar gaya
apni jaanib se be-KHabar aaya

jab kiya qasd-e-zabt-e-ah 'aziz'
dil mein chhaala sa ek ubhar aaya