ja chuka tufan lekin kapkapi hai
waqt ki diwar ab tak hil rahi hai
hum ne pahchana bahut logon ko lekin
ek ek surat abhi tak ajnabi hai
ab kirae ke makan mein ghuT raha hun
bap dada ki haweli bik chuki hai
roz kahte ho magar kahte nahin ho
wo kahani jo abhi tak an-kahi hai
kaise guzra paDh ke andaza laga lo
waqt ki tafsir chehre par likhi hai
andar andar main bikharta ja raha hun
koi shai rah rah ke mujh mein TuTti hai
ghas ug aai dar-o-diwar-e-dil par
KHana-virani ka manzar didani hai

Ghazal
Ja chuka tufan lekin kapkapi hai
Sultan Akhtar