itne to ham-KHayal dil-e-mubtala hain hum
kal jis se KHush the aaj isi se KHafa hain hum
tujh se juda nahin hain jo tujh se juda hain hum
tere hi hain agarche tere naqsh-e-pa hain hum
kahte hain hum ko nek bhi bad bhi hazar-ha
is ki KHabar nahin hai ki dar-asl kya hain hum
rutba baDha diya hai junun-e-firaq ne
hum se juda hain aap to sab se juda hain hum
tasir-e-ashk-o-ah ne badla nahin mizaj
muddat hui ki shaki-e-ab-o-hawa hain hum
lakhon jafaen sah ke ab aaya hai ye KHayal
milte hi kyun hain us se jo be-muddaa hain hum
wo yas ban gai jo zamane ki aas thi
aazurda aaj apne se be-intiha hain hum
jamta hai apne zikr se ab mahfilon ka rang
rahte hain apne ghar mein magar ja-ba-ja hain hum
kya kya inayaten hain bas ai charKH-e-pir bas
tera tasadduq ab bhi kisi se juda hain hum
ab ittifaq-e-ahl-e-wafa tum ko kya dikhaen
mahshar mein dekhna ki ye sab ek ja hain
manzur imtihan-e-dil-e-ishq-baz hai
ab apne waste bhi to sabr-azma hain hum
is par miTe hue hain miTata hai jo safi'
dushman ki ga rahe hain baDe KHush-nawa hain hum

Ghazal
Itne to ham-KHayal dil-e-mubtala hain hum
Safi Aurangabadi