itna aasan nahin masnad pe biThaya gaya main
shahr-e-tohmat teri galiyon mein phiraya gaya main
mere hone se yahan aai hai pani ki bahaar
shaKH-e-girya tha sar-e-dasht lagaya gaya main
ye to ab ishq mein ji lagne laga hai kuchh kuchh
is taraf pahle-pahal gher ke laya gaya main
KHub itna tha ki diwar pakaD kar nikla
us se milne ke liye surat-e-saya gaya main
tujh se kuchh kahne ki himmat hi nahin thi warna
ek muddat teri dahliz tak aaya gaya main
KHalwat-e-KHas mein bulwane se pahle 'tabish'
aam logon mein bahut der biThaya gaya main
Ghazal
Itna aasan nahin masnad pe biThaya gaya main
Abbas Tabish