isi libas isi pairahan mein rahna hai
use faqat mere sher-o-suKHan mein rahna hai
tamam umr tera hath mere hath mein ho
tamam umr isi ek jatan mein rahna hai
wo ahl-e-husn hain hum se juda hai bazm un ki
hum ahl-e-fan hain hamein ahl-e-fan mein rahna hai
hai tera aur mera sath chand lamhon ka
phir is ke baad kise anjuman mein rahna hai
kise mili hai yahan rah-e-shauq mein manzil
musafiron ko hamesha thakan mein rahna hai
hamara dard bhi us ke badan mein ho 'rizwan'
jab us ka dard hamare badan mein rahna hai

Ghazal
Isi libas isi pairahan mein rahna hai
Rizwanur Raza Rizwan