isi bais zamana ho gaya hai us ko ghar baiThe
wo Darti hai kahin koi mohabbat hi na kar baiThe
hamara jurm ye hai hum ne kyun insaf chaha tha
hamara faisla karne kai bedad-gar baiThe
kahan tak KHana-e-dil ab main teri KHair manunga
zara sailab aaya aur tere diwar-o-dar baiThe
mayassar phir na hoga chilchilati dhup mein chalna
yahin ke ho rahoge sae mein ek pal agar baiThe
bahut ghuma phira tu phir bhi KHali hai tera kasa
udhar to daulat-e-dil hath aai hum ko ghar baiThe
uDa kar le gai duniya hamein kin kin jhamelon mein
na phir fursat mili hum ko na phir hum umr bhar baiThe
faza mein gard ke zarron ki surat hum muallaq hain
na uDne ki tamanna ki na farsh-e-KHak par baiThe
uDi hai KHak yaadon ki umidon ki iradon ki
ye miTTi thi ki bujhti rakh par hum panw dhar baiThe
palaT kar jab bhi dekha KHak ki chadar nazar aai
na gard-e-rah baiThi hai na mere ham-safar baiThe
Ghazal
Isi bais zamana ho gaya hai usko ghar baiThe
Shahzad Ahmad