اردو हिंदी
Ishq se kuchh kaam ne kuchh ku-e-jaanan se gharaz | Shaahi Shayari
ishq se kuchh kaam ne kuchh ku-e-jaanan se gharaz

Ghazal

Ishq se kuchh kaam ne kuchh ku-e-jaanan se gharaz

Wajid Ali Shah Akhtar

;

ishq se kuchh kaam ne kuchh ku-e-jaanan se gharaz
gul se matlab hai na kuchh KHar-e-bayaban se gharaz

ishq ki sarkar ko bebak bilkul kar chuke
ab na kuchh zanjir se matlab na zindan se gharaz

kis se hum jhagDen nahin apna kisi millat mein mel
ishq ke bande ko kya gabr-o-musalman se gharaz

aalam-e-wahshat mein uryani ka jama chahiye
kaam hathon ko gareban se na daman se gharaz

teri nazron mein na Thahrega ye ru-e-aftab
tujh ko ai 'aKHtar' na hogi mah-e-taban se gharaz