ishq mein kuchh is sabab se bhi hai aasani mujhe
qalb sahrai mila hai aankh barani mujhe
mere aur mere chacha ke daur mein ye farq hai
un ko to biwi mili thi aur ustani mujhe
ek hi misre mein das das bar dil biryan hua
wo ghazal mein bandh kar dete hain biryani mujhe
coca-cola kar gai mujh ko qalandar ki ye baat
rail ke Dabbe mein kyun milta nahin pani mujhe
zaKHm wo dil par lagate hain mere aur us pe roz
apne ghar se bhej dete hain namak-dani mujhe
sare shikwe dur ho jaen jo qudarat saunp de
meri danai tujhe aur teri nadani mujhe
phunk deta hun main us par apna koi sher-e-KHush
jab Daraata hai koi andoh-e-pinhani mujhe
Ghazal
Ishq mein kuchh is sabab se bhi hai aasani mujhe
Sarfaraz Shahid