اردو हिंदी
Ishq mein kaun bata sakta hai | Shaahi Shayari
ishq mein kaun bata sakta hai

Ghazal

Ishq mein kaun bata sakta hai

Ahmad Mushtaq

;

ishq mein kaun bata sakta hai
kis ne kis se sach bola hai

hum tum sath hain is lamhe mein
dukh sukh to apna apna hai

mujh ko to sare namon mein
tera nam achchha lagta hai

bhul gai wo shakl bhi aaKHir
kab tak yaad koi rahta hai