ishq mein gham ke siwa koi KHushi dekhi nahin
zindagi shayan-e-lutf-e-zindagi dekhi nahin
un KHizan-saman bahaaron ko bahaaren kyun kahun
kya kabhi main ne chaman ki dilkashi dekhi nahin
uf wo aankhen marte dam tak jo rahi hain ashk-bar
hae wo lab umr bhar jin par hansi dekhi nahin
tak raha hun naza mein yun un ki surat bar bar
zindagi mein jaise ye surat kabhi dekhi nahin
wo Dare mahshar-ba-daman talKHi-e-mahaul se
jis ne un nazron ki shan-e-barhami dekhi nahin
baDh gaya hai kis qadar tarikiyon ka silsila
ba-wujud-e-subh-e-raushan raushni dekhi nahin
Ghazal
Ishq mein gham ke siwa koi KHushi dekhi nahin
Anwar Sabri