ishq mein dil ka ye manzar dekha
aag mein jaise samundar dekha
kho gae hum teri aahaT pa kar
yani aawaz ko sun kar dekha
jis ko sun kar na yaqin aae kabhi
fi-zamana wahi aksar dekha
na-rasai-e-junun mohkam hai
hum ne diwar mein dar kar dekha
dil pe ek naqsh-e-kaf-e-pa ubhra
ek sahra mein gul-e-tar dekha
main wo momin hun ki jis ne patthar
kabhi chuma kabhi chhu kar dekha
Dub jaane ka KHayal aaya jahan
wahin payab samundar dekha
bas-ki mansub tha ek nam ke sath
mutmain hi dil-e-'aKHgar' dekha

Ghazal
Ishq mein dil ka ye manzar dekha
Haneef akhgar