ishq mein aisi karamat kahan thi pahle
aap ke husn mein ye baat kahan thi pahle
ab ye surat hai ki imkan hi nahin furqat ka
un se din-raat mulaqat kahan thi pahle
aks ne dekh liya husn ko aaine mein
ishq mein aisi karamat kahan thi pahle
rang laya hai ye us gul ka tasawwur shayad
warna rangini-e-jazbaat kahan thi pahle
aql ras aa na gai ho tere diwane ko
fikr-e-na-sazi-e-haalat kahan thi pahle
naghme tere hain magar hain mere honTon pe rawan
meri har baat teri baat kahan thi pahle
Dhal gaya ishq bhi ab husn ke sanche mein 'sahab'
bazi-e-zist mein yun mat kahan thi pahle

Ghazal
Ishq mein aisi karamat kahan thi pahle
Shiv Dayal Sahab