اردو हिंदी
Ishq mein aa ki aql kun khonan | Shaahi Shayari
ishq mein aa ki aql kun khonan

Ghazal

Ishq mein aa ki aql kun khonan

Siraj Aurangabadi

;

ishq mein aa ki aql kun khonan
ba-KHirad ho ke be-KHirad honan

farsh-e-maKHmal sin mujh kun behtar hai
gham ke kanTon ki sej par sonan

abr-e-rahmat hai bij wahdat ka
kunj-e-maKHfi ke khet mein bonan

KHanda-e-gul hai girya-e-shabnam
hai hansi yar ki mera ronan

rup darsan dikha ai simin-tan
nahin to jata hai hat sen sonan

gard-e-gham sin jo dil hua mela
apne aansu ke aab sin dhonan

shoKH jadu-ada ne mujh pe 'siraj'
gardish-e-chashm sun kiya Tonan