ishq kya chiz hai ye puchhiye parwane se
zindagi jis ko mayassar hui jal jaane se
maut ka KHauf ho kya ishq ke diwane ko
maut KHud kanpti hai ishq ke diwane se
ho gaya Dher wahin aah bhi nikli na koi
jaane kya baat kahi shama ne parwane se
husn be-ishq kahin rah nahin sakta zinda
bujh gai shama bhi parwane ke jal jaane se
khae jati hai nadamat mujhe is ghaflat ki
hosh mein aa ke chala aaya hun maiKHane se
kar diya gardish-e-ayyam ne ruswa 'sahir'
mujh ko shikwa hai yagane se na begane se
Ghazal
Ishq kya chiz hai ye puchhiye parwane se
Sahir Hoshiyarpuri