ishq ki aag mein ab shama sa jal jaunga
tujh lagan bich qadam gaD na Tal jaunga
gar dam-e-tegh se sau bar kaTegi gardan
apni sabit-qadami sete sambhal jaunga
main wo jaan-baz o hawala hun patinge ki tarah
shama-ru tere upar jaan se jal jaunga
shajar-e-mom sa hun aalam-e-mauhum ke bich
mehrban garam-nigahi se pighal jaunga
KHak uData hua hasti ke tain de barbaad
sar-ba-sahra hun bagule sa nikal jaunga
tere kuche ki taraf azm kiya hun jaanan
aaKHirash yak do qadam sar se bhi chal jaunga
chashm-e-bad-mast ko gardish mein jo lawe saqi
abhi do jam mein sarshaar ho chal jaunga
'ishq' hai baal se barik siraat-e-mahshar
ya-'ali' kah ke tabhi us pe sambhal jaunga
Ghazal
Ishq ki aag mein ab shama sa jal jaunga
Ishq Aurangabadi