ishq ke bab mein kirdar hun diwane ka
main na aaghaz na anjam hun afsane ka
kuchh nahin naqd-e-junun apna ba-juz dagh-e-alam
yun to har zarra guhar-tab tha virane ka
husn bhi kahte hain tanwir-e-nazar ko kuchh log
shama bhi nam hai us bazm mein parwane ka
shukr hai teri talab juzw-e-alam hai warna
mujh mein tha hausla jine ka na mar jaane ka
chahe jitna bhi tujhe dekh ke masrur ho dil
tu hi unwan hai gham-e-zist ke afsane ka
mushkil-e-ishq ko aasan karo tum hi 'naim'
eatibar is mein hai apne ka na begane ka
Ghazal
Ishq ke bab mein kirdar hun diwane ka
Hasan Nayeem