ishq ka rog to wirse mein mila tha mujh ko
dil dhaDakta hua sine mein mila tha mujh ko
han ye kafir usi hujre mein mila tha mujh ko
ek momin jahan sajde mein mila tha mujh ko
us ko bhi meri tarah apni wafa par tha yaqin
wo bhi shayad isi dhoke mein mila tha mujh ko
us ne hi bazm ke aadab sikhae the mujhe
wo jo ek shaKHs akele mein mila tha mujh ko
manzil-e-hosh pe ek main hi nahin tha tanha
yan to har shaKHs hi nashshe mein mila tha mujh ko
ye bhi ek aib tha meri hi nazar ka shayad
roz kuchh farq sa chehre mein mila tha mujh ko
aise haalat mein kya us se gila karta main
raat suraj bhi andhere mein mila tha mujh ko
main agar Dub na jata to wahan kya karta
ek samundar tha jo qatre mein mila tha mujh ko
ruh ki pyas bujhana koi aasan na tha
saf pani baDe gahre mein mila tha mujh ko
sach to ye hai ki yahan koi bhi manzil hi na thi
wo bhi rasta tha jo raste mein mila tha mujh ko
Ghazal
Ishq ka rog to wirse mein mila tha mujhko
Bharat Bhushan Pant