ishq ka rog bhala kaise palega mujh se
qatl hota hi nahin yar ana ka mujh se
garm pani ki nadi khul gai sine pe mere
kal gale lag ke baDi der wo roya mujh se
main batata hun kuchh ek din se sabhi ko kam-tar
sahibo uTh gaya kya mera bharosa mujh se
ek tera KHwab hi kafi hai mere uDne ko
rashk karta hai meri jaan parinda mujh se
yak-ba-yak Dub gaya ashkon ke dariya mein main
bandh yaadon ka teri aaj jo TuTa mujh se
kisi patthar se dabi hai meri har ek dhaDkan
sikh lo zabt ka jo bhi hai saliqa mujh se
koi darwaza nahin khulta magar jaan meri
baat karta hai tere ghar ka daricha mujh se
bujh gaya main to ghazal paDh ke wo jis mein tu tha
par hua bazm ki raunaq mein izafa mujh se

Ghazal
Ishq ka rog bhala kaise palega mujhse
Prakhar Malviya Kanha