ishq ka koi KHair-KHwah to hai
tu nahin hai teri nigah to hai
arz-e-gham kyun na un se kar dekhun
ab bhi thoDi si rasm-o-rah to hai
zindagi ek siyah raat sahi
aashiqi ek charagh-e-rah to hai
roz-o-shab ki haqiqaten malum
ek tamasha-e-mehr-o-mah to hai
tab-e-jalwa mujhe nahin na sahi
lekin ek jurat-e-nigah to hai
aur iqbaal-e-jurm kya ho 'shakil'
thartharaate labon pe aah to hai
Ghazal
Ishq ka koi KHair-KHwah to hai
Shakeel Badayuni

