ishq jhela hai to chehra zard hona chahiye 
husn ke shaidaiyon ko mard hona chahiye 
bad-gumani ponchh kar aanchal se koi chum le 
is liye taswir par kuchh gard hona chahiye 
sach kaho to har kahani dastan apni hi hai 
aadmi ke dil mein thoDa dard hona chahiye 
aaj ke boson mein sachchai ki surKHi hai kahan 
ai musawwir in labon ko zard hona chahiye 
is makan mein rahne wale murda-dil insan hain 
is mahal ke pattharon ko sard hona chahiye 
ek jaise chehre-mohre ek jaisi niyyaten 
bhiD mein sab se alag ek fard hona chahiye 
man ka aanchal tham kar rona bahut aasan hai 
dur rah kar rone wala mard hona chahiye
        Ghazal
Ishq jhela hai to chehra zard hona chahiye
Fay Seen Ejaz

