ishq janmon ka hai safar shayad
KHatm hoga na umr bhar shayad
aaj kachcha ghaDa hai naw meri
par lag jaun Dub kar shayad
harf-e-matlab suna ke ro dena
kaam kar jae chashm-e-tar shayad
KHud ko hum barha pukar aae
aaj hum bhi nahin the ghar shayad
aur karni hai justuju apni
aur phirna hai dar-ba-dar shayad
kaun pagal ko ku-ba-ku DhunDe
phir raha ho nagar nagar shayad
shab gae uTh ke yaad kar us ko
yun duaon mein ho asar shayad
aa ke manzil pe so gaya rahi
KHatm hai bas yahin safar shayad
ban sanwar kar raha karo 'hasrat'
us ki paD jae ek nazar shayad
Ghazal
Ishq janmon ka hai safar shayad
Ajeet Singh Hasrat