اردو हिंदी
Ishq aa hum sun kiya jab ram ram | Shaahi Shayari
ishq aa hum sun kiya jab ram ram

Ghazal

Ishq aa hum sun kiya jab ram ram

Alimullah

;

ishq aa hum sun kiya jab ram ram
hum kisi haji ko nahin karte salam

majlis-e-rindan mein zahid nahin suna
hai sabaq awwal wahan ka jam jam

gar KHalasi hashr ki mangta hai tu
rindgi ke pi mai-e-gulfam fam

puchhta hai kya hamare ramz ko
be-samajh be-ishq zahid KHam KHam

gar dikha den yar ke kakul ka tar
subh ko aalam kahega sham sham

aashiqi ke mohkme mein hain nikat
jaan-o-tan aur aql-o-dil sab dam dam

ai 'alimullah' zahid ko lataD
fazilan mein KHush machaya dhum-dham