اردو हिंदी
Ise main aur ye mera asa hi tai karega | Shaahi Shayari
ise main aur ye mera asa hi tai karega

Ghazal

Ise main aur ye mera asa hi tai karega

Tahseen Firaqi

;

ise main aur ye mera asa hi tai karega
ye rah-e-ishq mera hausla hi tai karega

shab-e-siyah ke daman mein hain guhar kya kiya
nasib wale! tera ratjaga hi tai karega

samundaron se mah-e-chaar-dah ka khel hai kya
koi khilaDi koi mah-laqa hi tai karega

hamara dil hai kisi kaam ka ki nakara
ye amr aaj ki kal dil-ruba hi tai karega

hain shisha-kash hamein kya kaam kar-e-duniya se
ye rah-e-saKHt koi dusra hi tai karega

ilaj un ka, jo hain is zamin ka bojh, miyan!
koi KHarosh koi zalzala hi tai karega

jo haal-mast hain gam-karda-rah bhi unhen kya
ki road-map koi dusra hi tai karega

bajae KHwaj-gan masnad-nashin hon KHwaja-sara
to masala koi KHwaja-sara hi tai karega

ilaj kya ho shaghaalon ka bad-sagalon ka
ye sher-e-nar ka koi hamhama hi tai karega

tamam shahr ki jab be-hisi ho sikka-e-waqt
to mol-tol koi masKHara hi tai karega

ye tai hua hai ki sher o adab ke paimane
hamare shahr ka ek yak-fana hi tai karega

mujhe halak kiya kis ne aur kyun kis waqt
ye sab muamla roz-e-jaza hi tai karega