اردو हिंदी
Is tariqe ko adawat mein rawa rakhta hun main | Shaahi Shayari
is tariqe ko adawat mein rawa rakhta hun main

Ghazal

Is tariqe ko adawat mein rawa rakhta hun main

Sahba Akhtar

;

is tariqe ko adawat mein rawa rakhta hun main
apne dushman ke liye harf-e-dua rakhta hun main

main faqiri mein bhi ahl-e-zar se behtar hi raha
kuchh nahin rakhta magar nam-e-KHuda rakhta hun main

main kabhi tanha nahin hota sar-e-kunj-e-chaman
wo na hon to hath mein dast-e-saba rakhta hun main

main ne kam khoya siwa paya hai kar-e-ishq mein
dil jahan tha ab wahan ek dil-ruba rakhta hun main

jaane kab aa jae wo sahba misal-e-fasl-e-gul
is liye virana-e-dil ko saja rakhta hun main