is shahr-e-kaj-kulah ke aasar dekhna
aur KHud ko be-rida sar-e-bazar dekhna
wo mere baadban ka khulna hawa ke sath
aur muD ke tera jaanib-e-rahwar dekhna
aashob-e-KHisht-o-KHak se ji ko aman kahan
phir us pe rang-e-shisha-e-pindar dekhna
ab ke lagan kaun uThane ko aaega
ab ke saron ki fasl hai tayyar dekhna
masnad-nashin-e-shahr-e-KHarabaat kaun ho
kis se sambhal sakegi ye dastar dekhna
gah is fasil-e-yaad ki qindil par nigah
gah asp-e-harf-o-KHwab ki raftar dekhna
jis mein gharib-e-shahr ki beTi chuni gai
ai mere shahr-e-yar wo diwar dekhna

Ghazal
Is shahr-e-kaj-kulah ke aasar dekhna
Ishrat Afreen